Thursday, November 25, 2010
Wednesday, November 24, 2010
Merey Ahsaas ki Thandak
Teri banhon mein simat ker
Teray kandhey per sar rakh ker
Tujh mein kahein gum ho ker
Teray piyar ki koi dhun ho ker
Terey dil key taaron ko chher doon
Apney ehsaas ki thandak kuch der doon
jis sai sadyun ki tashnagi jaa_ey
jiss sai bhar poor zindagi aa_ey
Dil to chahta hey tujh mein beh jaaon
Toot ker tujh mein kahein reh jaaon
Apni palkon se utta loon tera her ghum
Jab tak hey meri dharkanon mey dam
Choom lay tu haath meray hisar-e-janu mein
Bhool ker sara jahan, tujhey apna kahoon mein
Sunday, November 21, 2010
me bhi rota raha wo bhi rulata raha
me bhi rota raha wo bhi rulata raha
teer dil pe musalsul chalata raha
un k aangun me mein yun pighalta raha
deep khon-e-jigar se jalata raha
khud sisukta raha dhoop me umer bhar
kone kone pe poday lagata raha
dil ki takhti is tarhan ghisti gae
nam taira me likhta mitata raha
aik aansu ki shidut se wo jul gaiya
jo sumandur se nazrien milata raha
aaj hunsta raha mairi maiyat pe wo
muskarana jise me sikhata raha
gurbut mairi kuch ziada na thi
piyas peeta raha bhook khata raha.
Chahton ki dori bhi
Izzaton say barh ker tou aur kuch nahee hota
Chahton ki dori bhi,
Torna hi parti hay
Manzilon ki kashti bhi,
Morna hi parti hay
Bhoolna hi parta hay,
Khud say piyaray logon ko
Aur dil kay aangan mein,
Naqsh un ki tasweerain
Kuch haseen lafzon ki,
Kuch haseen tehreerain
Paaoon jin mein jukrain hon,
Kholna hi parti hain
Khoobrurat aankhon mein basnay walay khawbon ko
Nochna hi parta hay
Dil say milta her rishta torna hi parta hay……
kiun keh……
Izzaton say barh ker tou aur kuch nahee hota!!!
Chahton ki dori bhi,
Torna hi parti hay
Manzilon ki kashti bhi,
Morna hi parti hay
Bhoolna hi parta hay,
Khud say piyaray logon ko
Aur dil kay aangan mein,
Naqsh un ki tasweerain
Kuch haseen lafzon ki,
Kuch haseen tehreerain
Paaoon jin mein jukrain hon,
Kholna hi parti hain
Khoobrurat aankhon mein basnay walay khawbon ko
Nochna hi parta hay
Dil say milta her rishta torna hi parta hay……
kiun keh……
Izzaton say barh ker tou aur kuch nahee hota!!!
Woh Kehti Hae....
Woh Kehti Hae……
Batao Be Sabab Kion Rooth Jatay Ho?
Main Kehta Hoon…
Zara Mujh Ko Manaao…… .Acha Lagtaa Hay
Wo Kehti Hay
Mera Dil Tum Se Aakhir Kion Nahi Bhartaa?
Main Kehta Hoon….
Mohabat Ki Koi Hadd Hi Nahii Hotii….!
Wo Kehti Hay….
Batao…Main Tumhain Kion Bhaa Gayi Itna?
Main Kehta Hoon…
Merii jaan Hadsay To Ho Hii Jatay Hain!
Wo Kehti Hay…
Achanak Main Tumhain Yoon Hii Rulaa Doon Tu?
Main Kehta Hoon…
Mujhay Darr Hay K Tu Bhii Bheeg jaaye Gi…!
Wo Kehti Hay…
Batao..Baarishon Ki kiya Haqeeqat Hay?
Main Kehta Hoon…
K Yeh To Baadalon Ki Aankh Rotii Hay…!
Wo Kehti Hay…
Tumhaaray Khwaab Saaray Kion Adhooray Hain?
Main Kehta Hoon…
Merii Jaan Tum Inhain Takmeel De Do Na…!
Batao Be Sabab Kion Rooth Jatay Ho?
Main Kehta Hoon…
Zara Mujh Ko Manaao…… .Acha Lagtaa Hay
Wo Kehti Hay
Mera Dil Tum Se Aakhir Kion Nahi Bhartaa?
Main Kehta Hoon….
Mohabat Ki Koi Hadd Hi Nahii Hotii….!
Wo Kehti Hay….
Batao…Main Tumhain Kion Bhaa Gayi Itna?
Main Kehta Hoon…
Merii jaan Hadsay To Ho Hii Jatay Hain!
Wo Kehti Hay…
Achanak Main Tumhain Yoon Hii Rulaa Doon Tu?
Main Kehta Hoon…
Mujhay Darr Hay K Tu Bhii Bheeg jaaye Gi…!
Wo Kehti Hay…
Batao..Baarishon Ki kiya Haqeeqat Hay?
Main Kehta Hoon…
K Yeh To Baadalon Ki Aankh Rotii Hay…!
Wo Kehti Hay…
Tumhaaray Khwaab Saaray Kion Adhooray Hain?
Main Kehta Hoon…
Merii Jaan Tum Inhain Takmeel De Do Na…!
Askhon ke Daam
Es liye un ko kham janta hun
Apny ashkon ke daam janta hun
Aor to koi khubi mujh main nahi
Dukh uthaany ka kaam janta hun
Khwahishen hath bandh leti hain
Aik aisa kalaam janta hun
Kon hun es ki kya khabar mujh ko
Main to bas apna naam janta hun
Be sabab to nahi jijhak meri
Main tumhara muqam janta hun
Ghar pohanchny main dair kese karun
Apni galiyon ki shaam janta hun
Kaam leta hun bholy pan se hassan
Warna baaten tamaam janta hun
Apny ashkon ke daam janta hun
Aor to koi khubi mujh main nahi
Dukh uthaany ka kaam janta hun
Khwahishen hath bandh leti hain
Aik aisa kalaam janta hun
Kon hun es ki kya khabar mujh ko
Main to bas apna naam janta hun
Be sabab to nahi jijhak meri
Main tumhara muqam janta hun
Ghar pohanchny main dair kese karun
Apni galiyon ki shaam janta hun
Kaam leta hun bholy pan se hassan
Warna baaten tamaam janta hun
Ae Sanam...
chehre ko be naqab rehne do
saamne maahtab rehne do
daikhne do haseen sa chehra
hathon mein yeh gulab rehne do
ban ke tabeer aaon ga ek din
apni aankhon mein khawab rehne do
yeh shab e qurb ka haseen lamha
ae sanam ab hijab rehne do
aankhon mein jab bhare piyale hon
mekashi ko janab rehne do
maang lo badle mein kuch bhi lekin
mere haq mein shabab rehne do
is tarah na lutao pemaane
aankhon mein yeh sharab rehne do
saamne maahtab rehne do
daikhne do haseen sa chehra
hathon mein yeh gulab rehne do
ban ke tabeer aaon ga ek din
apni aankhon mein khawab rehne do
yeh shab e qurb ka haseen lamha
ae sanam ab hijab rehne do
aankhon mein jab bhare piyale hon
mekashi ko janab rehne do
maang lo badle mein kuch bhi lekin
mere haq mein shabab rehne do
is tarah na lutao pemaane
aankhon mein yeh sharab rehne do
A caring heart
Walk through life with a caring heart,
you'll always find someone in need;
go out of your way to help,
and you will be blessed by the deed
for all life's blessings are born,
from a heart thats filled with love,
and all your good acts are seen
by the eyes of God above.
So as you travel through life
always find some time to spare,
to give someone a helping hand,
with a heart that is full of care.
you'll always find someone in need;
go out of your way to help,
and you will be blessed by the deed
for all life's blessings are born,
from a heart thats filled with love,
and all your good acts are seen
by the eyes of God above.
So as you travel through life
always find some time to spare,
to give someone a helping hand,
with a heart that is full of care.
Subscribe to:
Posts (Atom)