Tuesday, September 1, 2009

Aainda-e-Lamha

Juda hai rah guzar thori door saath chalo
bohat tanha hai safar thori door saath chalo

Phir kabhi mulaqaat nah hogi
ye ilm mujhe bhe magr thori door saath chalo

Gumsum hoon main bhi khamosh ho tum bhi
dil bahel jaaye agar thori door saath chalo

Chand lamhon ki mulaqat hi bohat hai dost
aainde-e-lamha ki kise khabar thori door saath chalo

Shab me tanha safar aur bhi mushkil
bus hone do sahar thori door saath chalo

Friday, June 5, 2009

Mujh ko bhulaya hoga...

Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga…
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga..
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi…….
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga
Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy…….
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga…
Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say..
Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga..
Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy……..
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga..
Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tuu Nay Jana………
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga……
Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab….
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga….