Tuesday, September 1, 2009

Aainda-e-Lamha

Juda hai rah guzar thori door saath chalo
bohat tanha hai safar thori door saath chalo

Phir kabhi mulaqaat nah hogi
ye ilm mujhe bhe magr thori door saath chalo

Gumsum hoon main bhi khamosh ho tum bhi
dil bahel jaaye agar thori door saath chalo

Chand lamhon ki mulaqat hi bohat hai dost
aainde-e-lamha ki kise khabar thori door saath chalo

Shab me tanha safar aur bhi mushkil
bus hone do sahar thori door saath chalo